Song : Zaroori Tha
Singer : Rahat Fateh Ali Khan
Music Composer : Sahir Ali Bagga
Lyrics : Khalil-ur-Rehman Qamar
Starring : Gauhar Khan, Kushal Tandon
Music Label : Universal Music





Lafz kitne hi tere pairon se lipte honge
Tune jab aakhiri, khat mera jalayaaaa hoga
Tune jab phool, kitabon se nikaale honge
Dene waala bhi tujhe yaad to aya hoga

Teri aankhon ke dariya ka, utarna bhi Zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi, Bicharna bhi Zaroori tha
Zuroori tha keh, Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzu'on ka,bikharna bhi Zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka, utarna bhi Zaroori tha

Batao yaad hai tumko, Woh jab dil ko churaya tha
Churaai cheez ko tum ne, Khuda ka ghar banaya tha
Woh jab kehte the, Mera naam tum tasbeh mein parhte ho
Mohabbat ki Namaazo ko, qara karne se darte ho
Magar ab yaad aata hai, Woh baatein thi mahaz baatein
Kahin baaton hi baaton mein, Mukarna bhi Zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka, Utarna bhi Zaroori tha

Wahi hai sooratein apni, Wohi main hoon, wahi tum ho
Magar khoya huaa hoon main, Magar tum bhi kahin gum ho
Mohabbat mein dagha ki thi, So kaafir the so kaafir hain
Mili hain manzilein phir bhi, Musaafir the, musafir hain
Tere dil ke nikaale hum, Kahaan bhatke, kahaan pahunche
Magar bhatke toh yaad aaya, Bhatakna bhi Zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi, Bichhadna bhi Zaroori tha

Zaroori tha keh, Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzu'on ka, Bikharna bhi Zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka, Utarna bhi Zaroori tha




Post a Comment

 
Top