Sufi Kalam Bekhud Kiye dete hain andaaz e hijabana, amazing live performance by young Rahat Fateh ali khan at a mehfil by Molana Tahir Qadri Sahab.
Bekhud Kiye Dete Hain Qawwali Lyrics and Mp3 Download
Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakh loon aye jalwa e janana
Kyun aankh milayee thi, Kyun aag lagai thee
Aab rukh ko chupa baithay kar kay mujhey deewana.
Aankhon main tujhe rakh loon aye jalwa e janana
Aa dil main tujhay rakh loon aye jalwa e janana
Kajal ma tujhe rakh loon aye jalwa e janana
Aa dil main tujhay rakh loon aye jalwa e janana
Kon hai jis nay mai nai chakkhi, kon jhooti qasam khata ha
Ma-qaday say jo bach nikalta ha, Teri nazron ma doob jata ha
Tum aye ho, Na shab e intezar guzri ha
Talash ma ha sehar bar bar guzri ha
Abhi to aye thehro zara chalay jana
Lagay ge dair zara hal-e-dil sunanay ma
Aankhon main tujhe rakh loon aye jalwa e janana
Aa dil main tujhay rakh loon aye jalwa e janana
Aye abr-e- karam zara tham k baras
Itna na baras k wo aa na sakain
Wo ajayen jab to jam k baras
Itna baras kay wo ja na sakain
Aankhon main tujhe rakh loon aye jalwa e janana
Aa dil main tujhay rakh loon aye jalwa e janana
Kyun aankh milai thi, Kyun aag lagai thi
Kyun aas bandhai thi, Kyun aag lagai thi
Kyun deed karai thi, Kyun aag lagai thi
Kyun preet karai thi, Kyun aag lagai thi
Ab rukh ko chupa baithay, Kar kay mujhey deewana
Ab jaali laga baithay kar, Kay mujhey deewana
Saudi Shurton kay.....
Ab pehray laga baithay, Kar kay mujhey deewana
Ab rukh ko chupa baithay, Kar kay mujhey deewana
Ab parda gira baithay, Kar kay mujhey deewana
Jis jaa nazar atay ho , Sajday wohin karta hoon
Jis raah se guzartay ho, Sajday wohin karta hoon
Meri Zindagi bhi ajeeb ha
meri bandagi b ajeeb ha
Jahan mil gaya tera naqsh e paa
Wohin maine Qaba bana lia
Jis raah se guzartay ho, Sajday wohin karta hoon
Mujhe kia gharaz thi raqoob se
Mujhe kia gharaz thi raqoob se
Tere naqsh e paa ki talash thi
Keh ma jhuk raha tha namaz mein
Jis raah se guzartay ho, Sajday wohin karta hoon
Mareez e ishq ka ye haal hota
Kisi k nam se chehra bahal hota ha
Main isey kuft kahon ya kamal e ishq kahon
Namaz ma b tumhara khayal hota
Jis raah se guzartay ho, Sajday wohin karta hoon
Sajdon kay liye bab e ka ram dhund lia ha
Aye yaar tera naqsh e qadam dhund lia ha
Jis raah se guzartay ho, Sajday wohin karta hoon
Ishq ka muddai bhi tum, Hussan ka mudda b tum
Aashq e bawafa bhi tum, Maashoq e dil ruba bhi tum
Yahan bhi tum wahan bhi tum, Idhar bhi tum udhar bhi tum
Rehne do raaz khul gaya, Banday bhi tum khuda bhi tum
Jis raah se guzartay ho, Sajday wohin karta hoon
Jis raah se guzartay ho, Sajday wohin karta hoon
Iss se nai kuch matlab, Qaba ho ya butt khana
Main hosh-o-hawas apnay, Iss baat pe kho baitha
Tu ne jo kaha hans kay, Aya mera deewana
Tu ne jo kaha hans kay, Dekho mera deewana
Tu ne jo kaha hans kay, Dekha mera deewana
Tu ne jo kaha hans kay, Yeh ha mera deewana
Tu ne jo kaha hans kay, Tahir ha mera deewana
Jee chahta hai tohfay main, Day dun unhain do aankhain
Darshan ka to darshan ho, Nazranay ka nazrana
Bedum meri qismat mein, Sajday hain isi dar kay
Peene ka to pee lon ga, Per shart zara si ha
Baghdad ka saaqi ho, Minhaj ka meh khana
Bedum meri qismat mein, Sajday hain isi dar kay
Chuta hai na chuthay ga, Sang e dar e janana
Meri zindagi hai tum se, Kahin tum badal na jana
Meri bandagi hai tum se, Kahin tum badal na jana
Meri bandagi hai tum se, Kahin rukh chupa na jana
Meri zindagi hai tum se, Tum mujhe bhula na jana
Meri zindagi hai tum se, Kahin tum badal na jana
Majlis saji hai, Kahin tum badal na jana
Minhaj saja hai, Kahin tum badal na jana
Kiya lutf ho mehshar mein, Main shikway kiye jaoon
Woh hans kay kahay, Jayein deewana hai dewana
Saaqi teray aatay hee, Yeh josh hai masti ka
Sheshay pay gira sheesha, Pemanay paymana
Maloom nahin bedam mein, Kon houn aur kiya hoon
Youn apnoon main apna houn Baiganoon mein baygana
Post a Comment