Unki nazron nay kuch aisa jaddo kiya
lut gaye hum to pehli mulaqat mein
Dil loot liya imaan loot lia
Khud Tarap kar un kay janib dil gaya
Sharab seekh pay dali kabab sheeshay mein
Hum pay aisa jaado kia Unki nazron nay
Zindagi Doob Gai un ki Hasin aankhon mein
Youn mera piyar kay afsanay ko anjam mila
Kafiyat-e-chasam uski mujha yaad hai Souda
Sagir ko mera hath sa lana ka chala main
Hum hosh bhi apne bhool gaye
Imaan bhi apna bhool gaye
Ik dil hi nahi us bus mein
Hum na jaane kia kia bhool gaye
Jo baat thi unko kehnay ki
Wo baat hi kehna bhul gaye
Ghairoon kay fasane yaad rahay
Hum apna fasana bhul gaye
Wo aa kay ajj samnay is shaan say gaya
Hum dekhtay he dekhtay Imaan sa gaya
Kya kya nigah e yaar me taseer ho gayi
Bijli kabhii bani kabhi shamsheer ho gaye
Bigri tu aa bani Dil-e-Ishq kay jan per
Dil main utar gai tu nazar teer ho gayi
Mehfil main baar baar unhi par nazar gayi
Humne bachai lakh magar phir udar gayi
Unki nigah mein koi jadoo zaroor
Jis par pari usi kay jigar main utar gaye
Banke tasveer-e-ghum reh gaye hain
Khoye khoye se hum reh gaye hain
Bant li sabne aapas mein khushiyaan
Mere hissay main ghum reh gaye hain
Ab na uthna sarhane se meray
Ab to ginti kay dum reh gaye hain
Ae sabaa ik zehmat zara phir
Unki zulfon mein hum reh gaye hain
Qayenaten jafaawon wafaaon mein
Eik tum eik hum reh gaye hain
Aaj Saqi pila shaikh ko bhi
Ek ye muhtaram reh gaye hain
Dour-e-Mazi kay tasveer akhir
Aya naseeb ik hum raah gaya hain
Nazar mila ka meray pass akay lout liya
Nazar hati thi ka phir muskra ka lout liya
Koi ya lout tu dekho ka osnay jab chaha
Mujhi main rah ker mujhi main sama ka loot liya
Na loota hum agar un mast ankhiyoon nay jigar
Nazar bachatay howay doob doba ka loot lia
Saath apna wafa main na Chootay kabhi
Piyar kay door ban kar na tootay kabhi
Choot jaya zamana koi gham nahi
Hath tera rahay bus meray hath main
Ankh Uthi Muhabbat Nay Angrai Li
Dil ka sauda houwa chandi raat main
Post a Comment