Sochta ho kay wo kitne masoom the Lyrics Ustaad Nusrat Fateh Ali Khan Qawaali
Janay walay humari mehfil say
Chaand taaron ko sath leta ja
Hum khizaan se nibaah kar lain gay
Tu baharon ko sath leta ja
Achi soorat ko sanwarnay ki zarorat kya hai
Saadgi main bhi qayamat ki adaa hoti hai
Tum jo aa jatay ho masjid me ada karnay namaz
Tum ko maloom he kitnon ki qaza hoti hai
Koi hansay tu tujhe ghum lagay hansi na lagay
Kay dil lagi bhi teray dil ko dil lagi na lagay
Tu roz roya karay uth k chaand raaton main
Khuda karay tera meray beghiar g na lagay
Tanhai main faryaad to kar sakta hon
Viranay ko abaad to kar sakta hon
Jab chahon tumhein mil nahi sakta lekin
Jab chahon tumhain yaad to ker sakta ho
Koi bhi waqt ho hans kar guzar leta hon
Khizaan ka daur main ehad-e-bahar leta hon
Gullon say rang sitaroon se roshni lay kar
Jamal-e-yaar ka naqsha utar leta ho
Us kay nazdeeq ghum-e-tark e wafa kuch bhi nahi
Mutmain aisay hain wo jaisay huwa kuch bhi nahi
Ab tu hathon se lakeerain bhi mitti jati hain
Us ko kho ker to mere pass raha kuch b nhi
Kal bicharna tu phir ehad-e-wafa soch kay bandh
Abi aghaz-e-mohabbat ha gaya kuch b nahi
Main to iss wastay chup hon k tamasha na banay
Tu smajhta ha mujhe tujh se gilla kuch b nahi
Sochta hon kay wo kitnay masoom thay
Kya se kya ho gaye dekhte dekhte
Main ne pathar se jin ko banaya sanam
Wo khuda ho gaye dekhte dekhte
Jin pathron ko hum ne ataa ki thi dharkane
Wo bolne lage tu hum hi pe baras pare
Mera hathon se tarashay howay pathar k sanam
Mera hi samne Bhagwan banay bethe hain
Hashar hai wehshat-e-dil ki awargi
Hum se pucho mohabbat ki deewangi
Jo pata puchte the kisi ka kabhi
La pata ho gaye dekhte dekhte
Hum se ye soch ker koi wada karo
Ek waday pe umeren guzar jain gi
Ye he dunya yahan kitne ehal-e-wafa
Bewafa ho gaye dekhte dekhte
Din chup gaya sooraj ka kahi naam nhi hai
O wada shikan ab bhi teri shaam nahi hai
Shab-e-wada ye raha kerte hain baten dil se
Dekhain yaar aata he pehle ka qaza aati he
Kal se be kal ho bhala khaak mujhe kal aaye
Kal ka wada tha na wo aaj aaye na wo kal aaye
Roz ka intezar kon kare ap ka aitabar kon kare
Ho chuka wada k kab aaiye ga dekhye ab na bhool jaiye ga
Bhala koi wada khilafi ki had he
Hisaab apne dil me laga ker tu socho
Qayamat ka din aa gaya rafta rafta
Mulaqat ka din badalte badalte
Hum se ye soch ker koi wada karo
Ek waday pe umeren guzar jain gi
Ye he dunya yahan kitne ehal-e-wafa
Ghair ki baat tasleem kya kijye
Ab tu khud per bhi hum ko bharoosa nhi
Apna saya smajhte the jin ko kabhi
Wo juda ho gaye dekhte dekhte
Sochta ho kay wo kitne masoom thay
Kya se kya ho gaye dekhte dekhte..!!
Post a Comment