Saqi Ki Har Nigah Peh
Bal Kha Keh Pee Gaya
Lehroon Say Khellta Hua Lehra Keh Pee Gaya
Ayy Rehmat-e-Tamaam Meri Har Khata Muaaf
Mein Intiha-e-Shouq Mein Ghabra Keh Pee Gaya
Peta Baghair Izm Yeh Kab Thi Meri Majaal
Dar-e- Pardah Chashm-e-Yaar Ki Shai Pa Keh Pee Gaya
Zahid Ye Meri Shokhi-e-Rindaana Dekhna
Rahmat Ko Baaton Baaton Main Bahla Ka Pee Gaya
Urii Urii Ghata’in Aati Hain
Mutribon Keh Nava’in Ati Hain
Kis Keh Gesuu Khule Hain Sawan Main
Mehki Mehki Hawa’in Aati Hain
Aao Sehen-e-Chaman Main Raqs Karein
Saaz Lekar Ghaata’in Aati Hain
Dekh Kar Unki Ankhriyon Ko “Adam”
Maikadon Ko Hava’in Aati Hain
Paas Rehta Hai Duur Rehta Hai
Koi Dil Mein Zaroor Rehta Hai
Jab Say Dekha Hai Unki Aankhon Ko
Halka Halka Suroor Rehta Hai
Yeah Joh Halka Halka Suroor Hai
Yeah Teri Nazar Ka Qusoor Hai
Keh Sharaab Peena Sikha Diya
Tere Pyar Ne, Teri Chaah Ne
Teri Behki Behki, Nigaah Ne
Mujhe Ik Sharabi Bana Diya…
Sharab Kaisi, Khumar Kaisa
Yeh Sub Tumhari Nawazishein Hein
Pilai Hai Kis Nazar Say Tu Ne
Keh Mujhko Apni Khabar Nahi Hai
Teri Behki Behki Nigah Ne
Mujhe Ik Sharabi Bana Dia
Yoon To Saqi Her Tarah Ki Tere Mai Khane Mein Hai
Wo Bhi Thori Si Jo In Aankhon Keh Paimane Mein Hai
Sub Samajhta Hoon Teri Ishwa-Kari Hai Saqi
Kaam Karti Hai Nazar Naam Hai Paimane Ka
Teri Behki Behki Nigah Nai
Mujhe Ik Sharabi Bana Diya
Meray Saqi Saqi Meray Saqi
Lahara Jhoom, Jhoom Ka La, Muskra Ka La
Phoolon Ka Raas Main Chaand Keh Kirnian Mila Ka La
Kyun Jaa Rahi Hai Rout Ka Raangeen-e-Bahar
Jaa Ek Martba Isay Phir Wargala Ka Laa
Sagar Shikan Hai Sheikh Bala Nosh Keh Nazar
Sheesha Ko Zeer-e-Daman Raangeen Chupa Ka La
Kahtain Hai Umer-e-Rafta Kabhi Lout'ti Nahi
Ja Maikda Sa Meri Jawani Outha Ka La
Main Na Mana Sharab Jaanab Peeta Hoon
Zindagi Ka Aazab Peeta Hoon
Ban Ka Khana Kharab Peeta Hoon
Rooz-e-Mahshar Hisab Ho Na Sakay
Is Liye Be-hisab Peeta Hoon
Jaam Hai Mahtaab Hai Saqi
Sara Mousam Sharab Hai Saqi
Baaz Lamhat Asay Bhi Hotay Hain
Jiss Main Peena Sawab Hai Saqi
..
Achi Pee Lee Kharab Pee lee
Thi Aag Misala-e-Habab Pe Lee
Adat Hai Aab To Nasha Na Kaif
Pani Na Piya Sharab Pee Lee
Nasha Imaan Hota He Surahi Deen Hoti He
Jawani Ki Ebadat Kis Qadar Rangeen Hoti He
Tumhara Husan Agar Benaqab Ho Jaye
Her Ek Chaira Khuda Keh Kitab Ho Jaye
Jo Qaida Sa Na Ho To Fazool Hai Sajda
Adab Ka Sath Khata Bhi Sawab Ho Jaye
Sharabiyon Ko Aqeedat Hai Is Qadar Tum Se
Jo Tum Pila Do Pani Sharab Ho Jaye
Dil Us Ka Namazi Bun Jaye
Aankh Us Ki Ghulabi Ho Jaye
Jiss Ko To Mohabbat Say Daikhe
Saqi Wo Sharabi Ho Jaye
Yoon To Saqi Her Tarah Ki Tere Mai Khane Mein Hai
Wo Bhi Thori Si Jo In Aankhon Keh Paimane Mein Hai
Sub Samajhta Hoon Teri Ishwa-Kari Hai Saqi
Kaam Karti Hai Nazar Naam Hai Paimane Ka
Teri Behki Behki Nigah Nai
Mujhe Ik Sharabi Bana Diya
Tera Pyar Hai Meri Zindagi
Tera Yad Hai Meri Bandagi
Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi
Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi
Na Namaz Aati Hai Mujhko, Na Wazoo Aata Hai
Sajda Kar Leta Hoon, Jab Saamne To Aata Hai
Kyun Ka Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai
Mai Azal Say Banda-E-Ishq Hoon, Mujhe Zohd-O-Kufar Ka Gham Nahin
Mere Sir Ko Dar Tera Mil Gaya, Mujhe Ab Talash-E-Haram Nahi
Meri Bandagi Hai Wo Bandagi, Jo Ba-Qaid-E-Dair-O-Haram Nahi
Mera Ik Nazar Tumhein Dekhna, Ba-Khuda Namaz Se Kam Nahi
Tera Naam Loon Subho Sham Tera Naam Loon
Tera Naam Loon Zubaan Say, Tere Aagay Sir Jhuka Doon
Mera Ishq Kehh Raha Hai, Mein Tujhe Khuda Bana Loon
Tera Naam Mere Lub Per, Mera Tazkara Hai Dar Dar
Mujhay Bhool Jaey Dunya, Mein Agar Tujhe Bhula Doon
Mere Dil Mein Bus Rahe Hein, Tere Bepanah Jalwe
Na Ho Jiss Mein Noor Tera, Woh Charagh Hi Bujha Doon
Teri Dillagi Kay Saadka Teri Saag Tulmaa
Mera Ghum Pa Hasna Wala Tujha Kon Se Dua Doon
Qayamat Main Tera Dagh-e-Muhabbat Lekar Uthun ga
Teri Dillagi Kay Saadka Teri Saag Tulmaa
Zulf Rukh Se Hata Ke Baat Karo
Raat Ko Din Bana Ke Baat Karo
Mai Kaday Ke Chiragh Madham Hain
Zara Ankhain Utha Ke Baat Karo
Phool Kuch Chahye Huzoor Humain
Tum Zara Muskara Ke Baat Karo
Ye Bhi Andaz-e-Guftugo He Koi
Jab Karo Dil Dukha Ka Baat Karo
Zara Apni Shokhi To Dikhaiye
Liye Zulf-e-Khamshuda Haath Me
Mere Paas Akay Dabay Dabay
Mujhe Saanp Kehh Keh Dara Dia
Dil Talab Hai Aur Taman Hai Jaan Keh
Kya Meharbaniyan Hai Meray Mehrban Keh
Nazuk Misaaj Hona Koi Yaar Kehr Tarha
Kinchta Hia Baat Baat Pa Talwar Keh Tarha
Dil Muft Chahta Hai Magar sab Ka Samnay
Kehemat Laga Raha Hai Kharidar Keh Tarha
Teri Dillagi Kay Saadqa Teri Saag Tulmaa
Mera Ghum Pa Hasna Wala Tujha Kon Se Dua Doon
Qayamat Main Tera Daagh-e-Muhabat Lekar Uthungaa
Teri Tasver Us dam bhi Kaleje Se Lagi Hogii Kyun Keh
Kyun Ka Tera Pyar Hai Meri Zindagi
Teri Yad Hai Meri Bandagi
Jo Teri Khushi, Wo Meri Khushii
Ye Mera Junoon Kaa Hai Mo’jizaa
Jahan Apne Sir Ko Jhukaa Diyaa
Wahan Maine Qaaba Banaa Diyaa
Mere Baad Kisko Satao Gay
Main Un Ka Samne Awal tu Khanjar Rakh Diya
Phir Kaleja Rakh Diya Dil Rakh Diya Sir Rakh Diya
Aur Arazz Kiya Mere Baad Kisko Satao Gay
Main Ne Kaha Mishga Hai Ya Us Ne Kaha Ya Teer Hai
Main Ne Kaha Abroo Hai Ya Us Ne Kaha Shamshir Hai
Main Kaha Cheera Pa Kyun Baal Khati Hai Zulfain
Tou Us Ne Kaha Ya Ashiqon Ka Wastay Zanjeer Hai
Main Kaha Furqat Main, Teri Jaan Per khela hon Main
Us Ne Kaha Zinda Raha, Ye Bhi Teri Taqdir Hai
Main Tum Ko Dil Diya, Tum Ne Mujha Rouswa Kiya
Main Tum Sa kya Kiya, Aur Tum Ne Mujha Sa Kya Kiya
Mere Baad Kisko Satao Gay
Jitna Jee Chahe Satao Waqt Hai Beqason Per Muskaro Waqat Hai
Dekh Lena Main Ni Tarpoo Ga Zaheer Shouk Sa Khanjar Chalao Waqt hai
Meri Wafain Yaad Karo Gay Roo Gay Faryad Karo Gay
Mujh Ko Tou Barbad Kiya Hai Aur Kisay Barbad Karoo Gay
Akar Bhi Nasahad Kiya Ha Ja Kar Bhi Nashad Karo Gay
Tera Zulum Nahi Hai Shamil Kar Meri Barbadi Main
Teri Ankhian Bheeg Rahi Hain Kyoun Mere Afsanay Say
Per Ya Tou Bato Mere Baad Kisko Satao Gay
Jo Pucha Keh Kis Tarah Hoti Hai Baarish, Jabeen Se Paseene Ki Boondein Gira Dein
Jo Pucha Keh Kis Tarah Girti Hai Bijli, Nigahein Milaein Mila Kar Jhuka Dein
Jo Pucha Shab-O-Roz Milte Hain Kaise, To Chehre Pe Apne Wo Zulfein Hata Dein
Jo Pucha Keh Naghmon Mein Jaadu Hai Kaisa, To Meethe Takallum Mein Baatein Suna Dein
Jo Apni Tamannaon Ka Haal Poocha, To Jalti Howi Chund Shamein Bujha Dein
Main Kehhta Reh Gaya Khata-E-Mohabbat Ki Achi Saza Di
Mere Dil Ki Dunya Bana Kar Mita Di,
Acha Phir Mere Baad Kisko Satao Gay
Kuch Asi Qatilana Nigahon Mein Dhal Gaya
Arman Arzo Ka Janazay Nikal Gaya
Qismat Phiri Tou Phir Gaya Ehabab Is Tarha
Dekha Humain Tou Dour Sa Rasta Badal Gaya
Mere Baad Kisko Satao Gay Mujhe Kis Tarah Se Mitao Gay
Kahan Ja Keh Teer Chalao Gay Meri Dosti Ki Balaein Loon
Mujhe Haath Utha Kar Duaein Do Tumhein Ek Qatil Bana Diya
Yeah Jo Halka Halka Saroor Hai
Yeah Teri Nazar Ka Qasoor Hai...!!
Post a Comment