Wo kehti hai suno jana Muhabbat moum ka ghar hai

Wo kehti hai suno jana Muhabbat moum ka ghar hai

Wo kehti hai suno jana
Muhabbat moum ka ghar hai
Tabish bad gumani ki
Kahin pighla na de isko

Main kehta hoon
Jis Dil main zara bhi bad gumani ki
Wahan kuch or ho tu ho
Muhabbat ho nahi sakti

Wo kehti hai sada aisay hi
Kaya tum mujh ko chaho gay
Keh main iss main kami koi bhi
Gawara kar nahi sakti

Main kehta hon
Muhabbat kaya hai
Ye tum nay sikhaya hai
Mujhe tum say muhabbat ke siwa
Kuch bhi nahi aata

Wo kehti hai
Judai se bohat darta hai mera dil
Ke khud ko tum se hut kar dekhna
Mumkin nai hai ab

Main kehta hon
Yahi khadshay bohat mujh ko sattatay hain
Magar such hai muhabbat main
Judai Saath chalti hai

Wo kehti hai
Batao kya mere bin ji sako gay tum
Meri baatain, Meri Yaadain, Meri Aankhain
Bhula do gay

Main kehta hon
Kabhi iss baat per socha nai maine
Agar ik pal ko b sochun to
Saansain rukne lagti hain

Wo kehti ha tumhein mujh se
Muhabbat iss qadar kiun hai
Ke main ik aam se larki
Tumhain kiun khas lagti hon

Main kehta hon
Kabhi khud ko meri aankhon say tum dekho
Meri dewangi kiun hai
Yeh khud he jaan jao gi

Wo kehti hai
Mujhe warftgi se dekhte kiun ho
Ke main khud ko bohat
Qeemti mehsoos karti hon

Main kehta hon
Mata-e-Jaan bohat anmol hoti hai
Tumhain jab dekhta hon zindagi
Mehsoos karta hon

Wo kehti hai mujhe alfaaz ke jugno nai miltay
Ke tumhain bata sakoon
Ke dil main mere
Kitni muhabbat hai

Main kehta hon
Muhabbat to nighaon se jhalakti hai
Tumhari khamoshi mujh se
Tumhari baat karti hai

Wo kehti hai
Batao na kis ko khonay se dartay ho
Batao kon hai wo jisay
Ye mosam bulatay hain

Main kehta hon
Yeh meri shayri hai aainda dil ka
Zara dekho batao kaya
Tumhain iss main nazar aya

Wo kehti hai
Suno! bohat baatain banatay ho
Magar such hai yeh baatain
Bohat hi shaad rakhti hain

Main kehta hon
Ye sab baatain yeh fasanay ik bahana hain
Ke pal kuch zindagani kay
Tumhare saath kat jain
Phir us ke baad khamoshi ka
Dilkash raqs hota hai
Nigahain bolti hain or
Lab khamosh rehtay hain
Wo kehti hai suno jana Muhabbat moum ka ghar hai

Post a Comment

 
Top