Samne Baitha Tha Mere, Or Woh Mera Na Tha
Khud Charha Rakhay Thay, Tan Per Ajnabiat Ke Ghulaf
Warna Kab Ik Dusray Ko Humne Pehchana Na Tha
Saamne Baitha Tha Mere, Or Woh Mera Na Tha
Faaslay Aisay Bhi Honge, Yeh Kabhi Socha Na Tha
Samnae Baitha Tha Mere, Or Woh Mera Na Tha
Raat Bhar Pichli Si Aahat, Kaan Main Aati Rahi
Jhank Kar Dekha Galli Main, Koi Bhi Aya Na Tha
Saamne Baitha Tha Mere, Or Woh Mera Na Tha
Faasle Aisay Bhi Honge, Yeh Kabhi Socha Na Tha
Samnay Baitha Tha Mere, Or Woh Mera Na Tha
Wo Keh Khusbo Ki Tarha, Phaila Tha Mere Chaar Soo
Main Ussay Mehssos Kar Sakta Tha, Choo Sakta Na Tha
Saamne Baitha Tha Mere, Or Woh Mera Na Tha
Faaslay Aisay Bhi Honge, Yeh Kabhi Socha Na Tha
Samne Baitha Tha Mere, Or Woh Mera Na Tha
Khoob Roye Chup Ke Ghar Ki Chaar Dewwari Main Hum
Haal e Dil Kehne Ke Qabil, Koi Hamsaya Na Tha
Saamnae Baitha Tha Mere, Or Woh Mera Na Tha
Faasle Aisay Bhi Honge, Yeh Kabhi Socha Na Tha
Samnay Baitha Tha Mere, Or Woh Mera Na Tha
Aks To Mujood To The, Per Aks Tanhai Ki Thi
Aaina To Mojood Tha Magar, Uss main Tera Chehra Na Tha
Aaj Us ne Dard Bhi Apne Alehda Kar Diye
Aj Main Roya To Mere Sath Wo Roya Na Tha
Aaj Lagta Hai Talluq Mit Gaya Puri Tarha
Aaj Usne Dekh Kar Bhi Mujh Ko Pehchana Na Tha
Yeh Sabhi Weranian Uske Juda Hone Se Thin
Aankha Dhundlai Hui Thi, Shehar Dhundlaya Na Tha
Aaj Milne Ki Khushi Mein, Sirf Main Jaga Nahi
Teri Aankhon Se Bhi Lagta Hai, Ke Tu Soya Na Tha
Mehfil Ahl e Wafa Main Her Tarha Ke Log Thay
Ya Teray Jaisa Na Tha, Ya Meray Jaisa Na Tha
Main Teri Soorat Liye Saaray Zamanay Main Phira
Saari Dunia Main Magar, Koi Tere Jaisa Na Tha
Sainkaron Toofan Lafzon Ke Dabbay Thay Zeeray Lab
Aik Pathar Tha Khamoshi Ka, Keh Jo Hilta Na Tha
Yaad kar ke or bhi takleef hoti thi Adeem
Bhool Janay ke siwa ab koi bhi chaara na tha
Samnay Baitha Tha Mere, Or Woh Mera Na Tha
Faasle Aisay Bhi Honge, Yeh Kabhi Socha Na Tha
Post a Comment